Wednesday, October 15, 2014

PARVAAHH: WHO SAY THEY CARE

CARE... parvaah... kya mayne hai iss shabd ke.. "tum nhi jaante par mai tumhari behad parvaah karta hn" ye wo alfaaz hai jinhe hum baht bekhoobi pehchante hai par kya sach mai iske shi maayne samjhte hai.. parvvah.. jab saamne wale kn mehsoos hn ki chahe usse kch bhi hn jae par ek shaksh har kadam uske saath hai.. chahe kitna hi bada tofaan ghere khada hn koi har lamha uska haath thaame uske saath hai.. koi aur uski kamjoriyoon kn samjhe na samjhe par koi hai jn bakhoobi unhe jaanta hai samjhta hai aur saath laker chalta hai.. jab akele mehsoos hn to kissi aise shaksh ke saath hne ka vishwaas hona jisse bewaqt pareshaan kiya ja sake kyonki hum khud pareshan hai.. iss ek vishwaas ka hona hi kayi baar kafi hota hai har mushkil se ladd jaane mai.. par jitni iss vishwaas se majbooti milti hai utna hi kamjor bhi hn jaate hai hum iss vishwaas ke toot jaane par.. wo  raato ki siskiyaan, wo na thamne waale aansoo, wo tootte vishwaas ke saath har pal toota dil aur toote hum... kuch khoobsurat yaadein laker kya umra bhar ka dard lena.. ye hisaab bethta hai janab... kiski zindagi mai aapki kitni importance hai isse jaanna behad mushkil hai par behad jaruri bhi.. shayad isse hi duniya sambhal ke chalna kehti hai jo hum seekhna bhool gye.. kyu hum chah kar bhi waise nhi ban paate jisse iss duniya ko ussi ki bhaasha mai jawab de paaye.. jakhma bhi yhi deti hai, dard bhi hume hota hai aur khushi se befikri ye rehti hai... shayad yhi dastoor hai jo chalte aaya hai  aur jab tak emotion aur beparvahi sono hai ye yu hi chalte rahega.. khush  rehne ke liye befikri hona bahut jaruri hai par kuch log khud samjha hi nhi paatein ki unhe kissi se koi farq nhi padta aur wo sirf khud ke liye jee sakte hai..

wo besoodh mast beparvaah chalte ja rahe the..
hum bharose UNKE unn raaho kn choonte ja rahe the..
unhe palat ke dekhne ki jarurat na lagi..
hume awaaz dene ki aadat na thi..
aankho kn jab jhapka ke khola..
na paaya usse tha bharosa jiska..
wo chalte hue na jaane kha pahunch gye..
hum waqt kn kn thaame whi reh gye..

No comments:

Post a Comment