Saturday, December 20, 2014

BEETEIN LAMHE...

Yaadein... beetein waqt ka aaina.. jo khubsurat lamho kn saamne laker khada to kar deti hai par haath badha kar unhe haasil nhi karne deti.. jo aapme laut aane ki laalsa bhi paida karti hai aur aapko aage badhne ki himmat bhi deti hai... aaj jab mai apne atit ke panno ko palat kar dekh rhi thi to baht si bhoole hue palo ne dil ke darwaze par dastak di.. sabke atit mai aise baht si baatein shaamil hoti hai jinpar unhe fakra bhi hota hai to sharmindagi bhi.. unn beetein lamho ne mjhe apne aaj se kafi peeche dhakel diya.. Inn chand saalo mai kitna kuch badal gya hai meri zindagi mai.. baht si cheezein hai jinhe mai aaj bhi apne dil mai dabaye bethi hn.. unn beetein lamho ne kitna kuch diya tha  mjhe.. wo waqt wo shakshiyatein, wo zindagi.. aaj chahu to bhi laut kar nai aane wali.. wo har waqt bekhauf udte rehna,.. wo beparwaah hassi.. wo alhad harkatein.. wo choti si baat kn aasmaan par beetha dena.. har baat mai ek baat hoti hai.. aaj jab unn sabhi yaado se itna aage badh chuki hn to peeche ghoomkar ek baar unhe chune ka jee karta hai.. phir se unhe jeene ka dil karta hai.. mere aaj aur beete hue kal ne mjhe khud ke baarein mai baht si baatein jaane ka mauka diya hai.. chahe hum yaado kn peeche chod kar kitna hi aage badh jae wo pal humare aastitva ko wo aakar de dete hai jisse hum apne aaj aur kal kn alag nhi kar sakte.. chahe hum badal jae, humare saath ke log badal jae, jagah badal jae, waqt badal jae, par unn yaadon kn apne dil se nhi nikal sakte jo humare dil se judi hoti hai.. Mere dost jo kabhi mere har lamhe ka hissa hua karte the aaj chahe reit ki tarah haant se phisal gye hn par peeche chute reit ke daano mai unki khushboo shaamil jarur hai jo har waqt mere saath rehti hai.. mai shayad wo pal wapas nhi la sakti par unn haseen yaado ko khud se joode rakh sakti hu.. aaj chahe meri zindagi ke khaas log badal gye hn par unki aehamiyat aaj bhi wahi ki wahi hai.. ha bus ab usse zaahir karne ka mauka nhi milta.. kaash ke unn palo mailautker ek baar unhe phir se jee pati apne bana pati.. par waqt aage badh chuka hai aur shaayd rishte aur unse jude log bhi.. peeche mai bhi nhi rahi par palat ke dekhne par aankho mai yaado ke aansu jarur bhar aate hai.. ssab kehte ki har kiisi ke pass apne hisse ki zindagi aur maamlat hote hai.. mjhe na meri zindagi samjh aati hai isse jude masle.. bus ye bina manzilo ke aage badhte ja rhi hai aur aur mai iske saath saath chalti ja rhi hn.. aage aane wala lamha meri kismato ko kya rang dega na mjhe uski koi khwaish hai aur sach kahu to na koi meethi gunjaish.. par aitbaar karna nhi bhoolti.. agar beetein lamhe khoobsurat yaadein ban kar dil mai busse hue hai to iski umeed bhi kari ja sakti hai aane wale lamhe bhi apni jagah mukammal kar lenge..